Sakeel Azmi Hindi Poetry
haar ho jaatī hai jab maan liyā jaatā hai
jiit tab hotī hai jab Thaan liyā jaatā hai
haar ho jati hai jab man liya jata hai
jit tab hoti hai jab Than liya jata haiḳhud ko itnā bhī na bachāyā kar
bārisheñ hoñ to bhiig jaayā kar
KHud ko itna bhi na bachaya kar
barishen hon to bhig jaya kar
Sakeel azmi 2 Lines Hindi Poetry
apnī manzil pe pahuñchnā bhī khaḌe rahnā bhī
kitnā mushkil hai baḌe ho ke baḌe rahnā bhī
apni manzil pe pahunchna bhi khaDe rahna bhi
kitna mushkil hai baDe ho ke baDe rahna bhi
Sakeel Azmi Urdu Poetry
mujh pe hain saikḌon ilzam mire saath na chal
tū bhī ho jaega badnam mire saath na chal
tu nai subah ke suraj ki hai ujli si kiran
main huuñ ik dhuul bharī shaam mire saath na chal
apnī ḳhushiyāñ mire ālām se mansūb na kar
mujh se mat maañg mirā naam mire saath na chal
tū bhī kho jā.egī Tapke hue aañsū kī tarah
dekh ai gardish-e-ayyām mire saath na chal
merī dīvār ko tū kitnā sambhālegā ‘shakīl’
TūTtā rahtā huuñ har gaam mire saath na chal
mujh pe hain saikDon ilzam mere sath na chal
tu bhi ho jaega badnam mere sath na chal
tu nai subah ke suraj ki hai ujli si kiran
main hun ek dhul bhari sham mere sath na chal
apni KHushiyan mere aalam se mansub na kar
mujh se mat mang mera nam mere sath na chal
tu bhi kho jaegi Tapke hue aansu ki tarah
dekh ai gardish-e-ayyam mere sath na chal
meri diwar ko tu kitna sambhaalega ‘shakil’
TuTta rahta hun har gam mere sath na chal