Ajeeb Uljhan Me Tu Ne Dala Mujhe Bhi Aye Gardish-E-Zamana
Sukoon Milta Nahi Qafas Me Na Raas Ata Hai Aashiyana…
Sukoon Milta Nahi Qafas Me Na Raas Ata Hai Aashiyana…
Us Bewafa Ko Kya Hai Zarurat Wafaon Ki
Jis Bewafa K Pas Wafadar Bohat Hon…
Jis Bewafa K Pas Wafadar Bohat Hon…
Kachi Umar Diyan Mohabbatan
Rog Pakky La Jandiyan Ne…
Rog Pakky La Jandiyan Ne…
Ishq Hai K Izraeel Ye
Jan Lene Se Thakta Hi Nahi…
Jan Lene Se Thakta Hi Nahi…
Shikway Gilon Ko Chor Kar Pehlu Me A Kar Beth
A Phir Naye Siry Se Mohabbat Shuru Karen…
A Phir Naye Siry Se Mohabbat Shuru Karen…
Aik Hi Shakhs Pe Luta Dete Hain Jo Zindagi Apni
Aise Log Ab Kitabon Me Mila Karte Hain…
Aise Log Ab Kitabon Me Mila Karte Hain…
Wo Markazi Kirdar Hai Kahani Ka Lekin
Kehta Hai Kahani Me Mera Naam Na Aye…
Kehta Hai Kahani Me Mera Naam Na Aye…
Ek Mukhtasir Si Waja Hai Mere Jhuk Kar Milne Ki
Matti Se Bana Hun Gharoor Acha Nahi Lagta Mujh Par…
Matti Se Bana Hun Gharoor Acha Nahi Lagta Mujh Par…
Mujh Ko Mujh Mein Jaga Nahi Milti
Tu Hai Mojood Is Qadar Mujh Mein…
Tu Hai Mojood Is Qadar Mujh Mein…
Main Chup Raha To Or Galat Fehmiyaan Barhi
Wo Bhi Suna Hai Usne Jo Maine Kaha Nahi…
Wo Bhi Suna Hai Usne Jo Maine Kaha Nahi…
Hath Uljhy Hue Resham Mein Phansa Beithy Hain
Ab Bata Kon Se Dhagy Ko Juda Kis Se Krein…
Ab Bata Kon Se Dhagy Ko Juda Kis Se Krein…
Jab Sham Utarti Hai, Kya Dil Pe Guzarti Hai
Sahil Ne Bohat Pucha, Khamosh Raha Pani…
Sahil Ne Bohat Pucha, Khamosh Raha Pani…
Ab To Be-Rang Ho Gaya Sab Kuch
Saat Rangon Ka Shehar Tha Mujh Mein…
Saat Rangon Ka Shehar Tha Mujh Mein…
Ghurbat Ne Sikha Di Hai Mere Bachon Ko Tehzeeb
Sehmay Hue Rehte Hain Shararat Nahi Karte…
Sehmay Hue Rehte Hain Shararat Nahi Karte…
Rooh Azad Ho, Majboor-E-Taqaza Na Rahe
Hai Tamanna K Mujhe Koi Tamanna Na Rahe…
Hai Tamanna K Mujhe Koi Tamanna Na Rahe…