Rahat Indori Shayari is world Famous and Also Rahat Indori is a celebrity Urdu poet and a Bollywood lyricist. Before this, he was pedagogic of Urdu writing at Indore College or university. Rahat Indori is extremely popular and also liked with his countless lovers globally for his poetic brightness along with an extremely unusual style of doing ashlars. Rahat Indori becomes very famous with his sheer ” Hindustan Kisi Ke Baap Ka Thodi Hai”. Rahat Indori Poetry searches in search engine Like Rahat Indori Shayari In Hindi, Rahat Indori Shayari In Urdu, Rahat Indori Shayari On Politics, Rahat Indori Shayari On Love, Rahat Indori Shere, Rahat Indori Poetry etc.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai ” Rahat Indori
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Agar khilaf hain hone do jaan thodi hai Ye sab dhuwan hai koi aasman thodi hai
Lagegi aag to aayenge ghar kayi zaddd mein Yaha pe sirf hamara makaan thodi hai
Main janta hoon ki dushman bhi kam nahi lekin Hamari tarah hatheli pe jaan thodi hai
Hamare munh se jo nikle wahi sadaqat hai Hamare munh me tumhari zubaan thodi hai
Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai
Sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti me Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Rahat Indori Shayari In Urdu
Safar ki had hai wahaan tak ke kuchh nishaan rahe, Chale chalo ke jahaaN tak ye asmaan rahe..
Rahat Indori Shayari In Two Line
Doob jana hi muqaddar hai to behtar warana, Tune patawar jo chhini hai to tinka de de..
Rahat Indori Shayari On Politics
Aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho
aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho
rah ke patthar se baDh kar kuchh nahin hain manzilen raste aawaz dete hain safar jari rakho
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto dostana zindagi se maut se yari rakho
aate jate pal ye kahte hain hamare kan mein kuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho
ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaem rahe nind rakho ya na rakho KHwab meyari rakho
ye hawaen uD na jaen le ke kaghaz ka badan dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho
le to aae shairi bazar mein ‘rahat’ miyan kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho
Rahat Indori Shere
Humari Khwahish Ek Ghar Ki Thi Use Sara Zamaana Chahiye Tha Meri AankheiN KahaaN Nam Hui Thi Samundar Ko Bahana Chahiye Tha..
Rahat Indori Poetry
Mujhe chhod gaya ye kamaal hai uska, Iraada maine kiya tha ke chhod dooNga use..
Rahat Indori Shayari On Love
Ab apni ruh ke chhaalon ka kuchh hisab karun
ab apni ruh ke chhaalon ka kuchh hisab karun main chahta tha charaghon ko aaftab karun
mujhe buton se ijazat agar kabhi mil jae to shahar-bhar ke KHudaon ko be-naqab karun
us aadmi ko bas ek dhun sawar rahti hai bahut hasin hai duniya ise KHarab karun
hai mere chaaron taraf bhiD gunge bahron ki kise KHatib banaun kise KHitab karun
main karwaTon ke nae zaiqe likhun shab-bhar ye ishq hai to kahan zindagi azab karun
ye zindagi jo mujhe qarz-dar karti rahi kahin akele mein mil jae to hisab karun
Rahat Indori Shayari In 2 Line
Khaak me yuuN na mila zabt ki tauheen na kar, Ye wo aansooN haiN jo duniya ko baha le jayeiN..
Rahat Indori Shayari On Friends
Ab Na Main Hun, Na Baaki Hai Zamane Mere, Fir Bhi MashHoor Hain Shaharon Mein Fasane Mere, Zindagi Hai Toh Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge, Ab Bhi Baaki Hain Kayi Dost Puraane Mere.
Rahat Indori Shere
Ajnabi KHwahishen sine mein daba bhi na sakun
ajnabi KHwahishen sine mein daba bhi na sakun aise ziddi hain parinde ki uDa bhi na sakun
phunk Dalunga kisi roz main dil ki duniya ye tera KHat to nahin hai ki jila bhi na sakun
meri ghairat bhi koi shai hai ki mahfil mein mujhe us ne is tarah bulaya hai ki ja bhi na sakun
phal to sab mere daraKHton ke pake hain lekin itni kamzor hain shaKHen ki hila bhi na sakun
ek na ek roz kahin DhunD hi lunga tujh ko Thokaren zahr nahin hain ki main kha bhi na sakun
Rahat Indori Poetry
Loo Bhi Chalti Thi Toh Baad-e-Shaba Kehte The, Paanv Failaye Andheron Ko Diya Kehte The, Unka Anjaam Tujhe Yaad Nahi Hai Shayad, Aur Bhi Log The Jo Khud Ko Khuda Kehte The.
Rahat Indori Shayari In Hindi
हाथ ख़ाली हैं तेरे शहर से जाते जाते, जान होती तो मेरी जान लुटाते जाते, अब तो हर हाथ का पत्थर हमें पहचानता है, उम्र गुज़री है तेरे शहर में आते जाते।
Rahat Indori Shayari In Urdu
andar ka zahr chum liya dhul ke aa gae kitne sharif log the sab khul ke aa gae
suraj se jang jitne nikle the bewaquf sare sipahi mom ke the ghul ke aa gae
masjid mein dur dur koi dusra na tha hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gae
nindon se jang hoti rahegi tamam umr aankhon mein band KHwab agar khul ke aa gae
suraj ne apni shakl bhi dekhi thi pahli bar aaine ko maze bhi taqabul ke aa gae
anjaane sae phirne lage hain idhar udhar mausam hamare shahr mein kabul ke aa gae
Rahat Indori Shayari In Hindi
चेहरों के लिए आईने कुर्बान किये हैं, इस शौक में अपने बड़े नुकसान किये हैं, महफ़िल में मुझे गालियाँ देकर है बहुत खुश , जिस शख्स पर मैंने बड़े एहसान किये है।
Rahat Indori Shayari On Love
Teri Har Baat Mohabbat Mein Ganwara Karke, Dil Ke Bajaar Mein Baithe Hain Khasaara Karke, Main Woh Dariya Hun Ke Har Boond Bhanwar Hai Jiski, Tumne Achha Hi Kiya Hai Mujhse Kinaara Karke.
Hello Poetry Lovers! My self Ahmad Khan Azmi. Formally I am a student of computer science Engineering. Like to compose short poetry. I started this blog to provide lots of poetry. you can find here all types of poetry, poems, shayaries. So connect with Poetry4ever.com. Thank you