Allama Iqbal requires not any intro. He is actually the almost all well-known poet, philosopher, barrister and also scholar of every time. A llama Iqbal got the name of “Sir” from King George V in 1922. He offers may well name just like ‘Dr’ and also ‘Allama’.His well-liked poetry “Sare Jahan se Acha” turned the country song of India. Searches of Iqbal Poetry Like Poetry By Allama Iqbal, Poetry By Allama Iqbal In Urdu, Poetry By Allama Iqbal In Hindi, Poetry By Allama Iqbal In Roman Urdu, Poetry By Allama Iqbal In English, Poetry By Allama Iqbal On Karbala, Poetry By Allama Iqbal On Nation, Poetry By Allama Iqbal Jawab Shikwa, Allama Iqbal Poetry In Urdu Love, Allama Iqbal Poetry In Urdu For Student, Allama Iqbal Shayari In Hindi , Allama Iqbal Shayari In Urdu, Allama Iqbal Islamic Shayari etc. The birthday anniversary of Allama Iqbal is recognized as the country holiday getaway in Pakistan. Allama Iqbal poetry selections show his knowledge and also intellectualism that got encouraged the Muslims of India for the battle for independence. Allama Iqbal Shayari was narrated in Urdu and also Persian languages.
Poetry By Allama Iqbal
Majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de
majnun ne shahr chhoDa to sahra bhi chhoD de nazzare ki hawas ho to laila bhi chhoD de
waiz kamal-e-tark se milti hai yan murad duniya jo chhoD di hai to uqba bhi chhoD de
taqlid ki rawish se to behtar hai KHud-kushi rasta bhi DhunD KHizr ka sauda bhi chhoD de
manind-e-KHama teri zaban par hai harf-e-ghair begana shai pe nazish-e-beja bhi chhoD de
lutf-e-kalam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq bismil nahin hai tu to taDapna bhi chhoD de
shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal is bagh mein qayam ka sauda bhi chhoD de
hai aashiqi mein rasm alag sab se baiThna but-KHana bhi haram bhi kalisa bhi chhoD de
sauda-gari nahin ye ibaadat KHuda ki hai ai be-KHabar jaza ki tamanna bhi chhoD de
achchha hai dil ke sath rahe pasban-e-aql lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de
jina wo kya jo ho nafas-e-ghair par madar shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhoD de
shoKHi si hai sawal-e-mukarrar mein ai kalim shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhoD de
waiz subut lae jo mai ke jawaz mein ‘iqbaal’ ko ye zid hai ki pina bhi chhoD de
Poetry By Allama Iqbal In Urdu
Han Dikha De Ae Tasuwar Phir Wo Subah Sham Tu Dor Peche Ki Taraf Ae Gardish-E Ayam Tu
Poetry By Allama Iqbal In Roman Urdu
Maktabon mein kahin ranai-e-afkar bhi hai
maktabon mein kahin ranai-e-afkar bhi hai KHanqahon mein kahin lazzat-e-asrar bhi hai
manzil-e-rah-rawan dur bhi dushwar bhi hai koi is qafile mein qafila-salar bhi hai
baDh ke KHaibar se hai ye marka-e-din-o-watan is zamane mein koi haidar-e-karrar bhi hai
ilm ki had se pare banda-e-momin ke liye lazzat-e-shauq bhi hai nemat-e-didar bhi hai
pir-e-mai-KHana ye kahta hai ki aiwan-e-farang sust-buniyaad bhi hai aaina-diwar bhi hai
Poetry By Allama Iqbal Jawab Shikwa
Bhari Bazam Mein Raaz Ki Baat Keh Di Bara Be-Adab Hun Saza Chahta Hun
Allama Iqbal Poetry In Urdu Love
Mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi
mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi maqam-e-bandagi de kar na lun shan-e-KHudawandi
tere aazad bandon ki na ye duniya na wo duniya yahan marne ki pabandi wahan jine ki pabandi
hijab iksir hai aawara-e-ku-e-mohabbat ko meri aatish ko bhaDkati hai teri der-paiwandi
guzar-auqat kar leta hai ye koh o bayaban mein ki shahin ke liye zillat hai kar-e-ashiyan-bandi
ye faizan-e-nazar tha ya ki maktab ki karamat thi sikhae kis ne ismail ko aadab-e-farzandi
ziyarat-gah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad meri ki KHak-e-rah ko main ne bataya raaz-e-alwandi
meri mashshatgi ki kya zarurat husn-e-mani ko ki fitrat KHud-ba-KHud karti hai lale ki hina-bandi
Allama Iqbal Poetry In Urdu For Student
Soda Gari Nahi Ye Ibadat Khuda Ki Hai Ae Be-Khabar Jaza Ki Tamana Bhi Chor De
Poetry By Allama Iqbal In Urdu
Meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein
meri nawa-e-shauq se shor harim-e-zat mein ghulghula-ha-e-al-aman but-kada-e-sifat mein
hur o farishta hain asir mere taKHaiyyulat mein meri nigah se KHalal teri tajalliyat mein
garche hai meri justuju dair o haram ki naqsha-band meri fughan se rustaKHez kaba o somnat mein
gah meri nigah-e-tez chir gai dil-e-wajud gah ulajh ke rah gai mere tawahhumat mein
tu ne ye kya ghazab kiya mujh ko bhi fash kar diya main hi to ek raaz tha sina-e-kaenat mein
Poetry By Allama Iqbal In English
Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain Ye Aashiq Kon Se Basti Key A Rab Rehne Wale Hain
Allama Iqbal Shayari In Urdu
Mir-e-sipah na-saza lashkariyan shikasta saf
mir-e-sipah na-saza lashkariyan shikasta saf aah wo tir-e-nim-kash jis ka na ho koi hadaf
tere muhit mein kahin gauhar-e-zindagi nahin DhunD chuka main mauj mauj dekh chuka sadaf sadaf
ishq-e-butan se hath uTha apni KHudi mein Dub ja naqsh o nigar-e-dair mein KHun-e-jigar na kar talaf
khol ke kya bayan karun sirr-e-maqam-e-marg o ishq ishq hai marg-e-ba-sharaf marg hayat-e-be-sharaf
sohbat-e-pir-e-rum se mujh pe hua ye raaz fash lakh hakim sar-ba-jeb ek kalim sar-ba-kaf
misl-e-kalim ho agar marka aazma koi ab bhi daraKHt-e-tur se aati hai bang-e-la-taKHaf
KHira na kar saka mujhe jalwa-e-danish-e-farang surma hai meri aankh ka KHak-e-madina-o-najaf
Allama Iqbal Shayari In Hindi
Jinhen Mein Dhondta Tha Aasmano Mein Zameeno Mein Wo Nikle Mere Zulmat Khana-E Dil Ke Makeeno Mein
Poetry By Allama Iqbal On Nation
Meri nawa se hue zinda aarif o aami
meri nawa se hue zinda aarif o aami diya hai main ne unhen zauq-e-atish aashami
haram ke pas koi aajmi hai zamzama-sanj ki tar tar hue jama hae ehrami
haqiqat-e-abadi hai maqam-e-shabbiri badalte rahte hain andaz-e-kufi o shami
mujhe ye Dar hai muqamir hain puKHta-kar bahut na rang lae kahin tere hath ki KHami
ajab nahin ki musalman ko phir ata kar den shikwa-e-sanjar o faqr-e-juned o bastami
qaba-e-ilm o hunar lutf-e-KHas hai warna teri nigah mein thi meri na-KHush andami
Allama Iqbal Islamic Shayari
Tu Qadir Aur Aadil Hai Par Tere Jahan Mein Hai Talkh Bohat Banda-E Mazdoor Ke Auqat
Allama Iqbal Poetry In Urdu Love
MiTa diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu
miTa diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu pila ke mujh ko mai-e-la-ilaha-illa-hu
na mai na sher na saqi na shor-e-chang-o-rabab sukut-e-koh o lab-e-ju wa lala-e-KHud-ru
gada-e-mai-kada ki shan-e-be-niyazi dekh pahunch ke chashma-e-haiwan pe toDta hai subu
mera sabucha ghanimat hai is zamane mein ki KHanqah mein KHali hain sufiyon ke kadu
main nau-niyaz hun mujh se hijab hi aula ki dil se baDh ke hai meri nigah be-qabu
agarche bahr ki maujon mein hai maqam is ka safa-e-paki-e-tinat se hai guhar ka wazu
jamil-tar hain gul o lala faiz se is ke nigah-e-shair-e-rangin-nawa mein hai jadu
Poetry By Allama Iqbal In Urdu
Ishq Teri Inteha Ishq Meri Inteha Tu Bhi Abi Na Timan Mein Bhi Abi Na Timam
Poetry By Allama Iqbal In Roman Urdu
Mujhe aah-o-fughan-e-nim-shab ka phir payam aaya
mujhe aah-o-fughan-e-nim-shab ka phir payam aaya tham ai rah-rau ki shayad phir koi mushkil maqam aaya
zara taqdir ki gahraiyon mein Dub ja tu bhi ki is jangah se main ban ke tegh-e-be-niyam aaya
ye misra likh diya kis shoKH ne mehrab-e-masjid par ye nadan gir gae sajdon mein jab waqt-e-qayam aaya
chal ai meri gharibi ka tamasha dekhne wale wo mahfil uTh gai jis dam to mujh tak daur-e-jam aaya
diya ‘iqbaal’ ne hindi musalmanon ko soz apna ye ek mard-e-tan-asan tha tan-asanon ke kaam aaya
usi ‘iqbaal’ ki main justuju karta raha barson baDi muddat ke baad aaKHir wo shahin zer-e-dam aaya
Poetry By Allama Iqbal Jawab Shikwa
Apne Man Mein Dob Kar Pa Ja Suragh-E Zindagi Tu Agar Mera Nahi Banta Na Ban Apna Tu Ban
Allama Iqbal Islamic Shayari
Musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka
musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka murawwat husn-e-alam-gir hai mardan-e-ghazi ka
shikayat hai mujhe ya rab KHudawandan-e-maktab se sabaq shahin bachchon ko de rahe hain KHak-bazi ka
bahut muddat ke naKHchiron ka andaz-e-nigah badla ki main ne fash kar Dala tariqa shah-bazi ka
qalandar juz do harf-e-la-ilah kuchh bhi nahin rakhta faqih-e-shahr qarun hai lughat-ha-e-hijazi ka
hadis-e-baada-o-mina-o-jam aati nahin mujh ko na kar KHara-shigafon se taqaza shisha-sazi ka
kahan se tu ne ai ‘iqbaal’ sikhi hai ye darweshi ki charcha padshahon mein hai teri be-niyazi ka
Poetry By Allama Iqbal On Karbala
Tera Imam Bay Hazoor Teri Namaz Bay Saror Aesi Namaz Se Guzar Aese Imam Se Guzar
Allama Iqbal Poetry In Urdu Love
Na aate hamein is mein takrar kya thi
na aate hamein is mein takrar kya thi magar wada karte hue aar kya thi
tumhaare payami ne sab raaz khola KHata is mein bande ki sarkar kya thi
bhari bazm mein apne aashiq ko taDa teri aankh masti mein hoshyar kya thi
tammul to tha un ko aane mein qasid magar ye bata tarz-e-inkar kya thi
khinche KHud-baKHud jaanib-e-tur musa kashish teri ai shauq-e-didar kya thi
kahin zikr rahta hai ‘iqbaal’ tera fusun tha koi teri guftar kya thi
Allama Iqbal 2 Line Shayari
Roz-e Hisab Jab Mera Pesh Ho Daftar-e Amal Aap Bhi Sharam-Sar Ho Muj Ko Bhi Sharam-Sar Krein
Hello Poetry Lovers! My self Ahmad Khan Azmi. Formally I am a student of computer science Engineering. Like to compose short poetry. I started this blog to provide lots of poetry. you can find here all types of poetry, poems, shayaries. So connect with Poetry4ever.com. Thank you