Parveen Shakir was the legendary poet from Pakistan. She is a professional master’s qualification holder in English literature and also languages. Parveen was a shaira of extraordinary unique qualities, who, and also being a poet, was a news broadcast similar, an educator along with a national servant. At first of her job she utilized the pen-name ‘ Bina’. Many books of her sher-o-Shayari released, just like Khushboo, Sad-bage, Khud-kalaami, Inkaar and also Maah-e-Tamaam. Parveen Shakir write her Poetry In Urdu But people searches her poetry Like Parveen Shakir Poetry In Urdu, Parveen Shakir 2 Line Poetry, Parveen Shakir Shayari, Parveen Shakir Shayari In Urdu, Parveen Shakir Ghazal, Parveen Shakir Ghazal In Urdu etc. She went dead in a highway car accident at the younger age of 42 along with the field of modern-day Urdu poetry missing one out of the brightest superstars.
Parveen Shakir Poetry
Ghar ka darwaaza khulaa rakha hai, Waqt mil jaye to zehmat karnaa..
Parveen Shakir Khushboo
Aks-e-KHushbu hun bikharne se na roke koi
aks-e-KHushbu hun bikharne se na roke koi aur bikhar jaun to mujh ko na sameTe koi
kanp uThti hun main ye soch ke tanhai mein mere chehre pe tera nam na paDh le koi
jis tarah KHwab mere ho gae reza reza us tarah se na kabhi TuT ke bikhre koi
main to us din se hirasan hun ki jab hukm mile KHushk phulon ko kitabon mein na rakkhe koi
ab to is rah se wo shaKHs guzarta bhi nahin ab kis ummid pe darwaze se jhanke koi
koi aahaT koi aawaz koi chap nahin dil ki galiyan baDi sunsan hain aae koi
Parveen Shakir Poetry In Urdu Collection
Main sach kahun gi magar phir bhi haar jaun gi, Woh jhoot bole ga aur la’jawab kar de ga..
Parveen Shakir Poetry SMS
Apni hi sada sunun kahan tak
apni hi sada sunun kahan tak jangal ki hawa rahun kahan tak
har bar hawa na hogi dar par har bar magar uThun kahan tak
dam ghaTta hai ghar mein habs wo hai KHushbu ke liye rukun kahan tak
phir aa ke hawaen khol dengi zaKHm apne rafu karun kahan tak
sahil pe samundaron se bach kar main nam tera likhun kahan tak
tanhai ka ek ek lamha hangamon se qarz lun kahan tak
gar lams nahin to lafz hi bhej main tujh se juda rahun kahan tak
sukh se bhi to dosti kabhi ho dukh se hi gale milun kahan tak
mansub ho har kiran kisi se apne hi liye jalun kahan tak
aanchal mere bhar ke phaT rahe hain phul us ke liye chunun kahan tak
Parveen Shakir Sad Poetry 2 Lines
Woh to khushbuu hai hawaaon mein bikhar jaye ga, Masla phool ka hai, phool kidar jaaye ga..
Parveen Shakir Shayari In Urdu
Apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
apni ruswai tere nam ka charcha dekhun ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
nind aa jae to kya mahfilen barpa dekhun aankh khul jae to tanhai ka sahra dekhun
sham bhi ho gai dhundla gain aankhen bhi meri bhulne wale main kab tak tera rasta dekhun
ek ek kar ke mujhe chhoD gain sab sakhiyan aaj main KHud ko teri yaad mein tanha dekhun
kash sandal se meri mang ujale aa kar itne ghairon mein wahi hath jo apna dekhun
tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayat jaane kyun tere liye dil ko dhDakna dekhun
band kar ke meri aankhen wo shararat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhun
sab ziden us ki main puri karun har baat sunun ek bachche ki tarah se use hansta dekhun
mujh pe chha jae wo barsat ki KHushbu ki tarah ang ang apna isi rut mein mahakta dekhun
phul ki tarah mere jism ka har lab khul jae pankhuDi pankhuDi un honTon ka saya dekhun
main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar KHwab ban kar teri aankhon mein utarta dekhun
tu meri tarah se yakta hai magar mere habib ji mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun
TuT jaen ki pighal jaen mere kachche ghaDe tujh ko main dekhun ki ye aag ka dariya dekhun
Parveen Shakir Poetry In Urdu
Mere lafzon se nikal jaye assar, Koi khawhish jo tere baad karoon.
Parveen Shakir Sad Poetry 2 Lines
Apni tanhai mere nam pe aabaad kare
apni tanhai mere nam pe aabaad kare kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare
dil ajab shahr ki jis par bhi khula dar is ka wo musafir ise har samt se barbaad kare
apne qatil ki zehanat se pareshan hun main roz ek maut nae tarz ki ijad kare
itna hairan ho meri be-talabi ke aage wa qafas mein koi dar KHud mera sayyaad kare
salb-e-binai ke ahkaam mile hain jo kabhi raushni chhune ki KHwahish koi shab-zad kare
soch rakhna bhi jaraem mein hai shamil ab to wahi masum hai har baat pe jo sad kare
jab lahu bol paDe us ke gawahon ke KHilaf qazi-e-shahr kuchh is bab mein irshad kare
us ki muTThi mein bahut roz raha mera wajud mere sahir se kaho ab mujhe aazad kare
Parveen Shakir Shayari In Hindi
Iss baar jo eendhan ke liye katt ke gira hai, Chirriyon ko barra pyaar tha uss boorrhe shajar se..
Parveen Shakir Ghazal
Ashk aankh mein phir aTak raha hai
ashk aankh mein phir aTak raha hai kankar sa koi khaTak raha hai
main us ke KHayal se gurezan wo meri sada jhaTak raha hai
tahrir usi ki hai magar dil KHat paDhte hue aTak raha hai
hain phone pe kis ke sath baaten aur zehn kahan bhaTak raha hai
sadiyon se safar mein hai samundar sahil pe thakan Tapak raha hai
ek chand salib-e-shaKH-e-gul par baali ki tarah laTak raha hai
Parveen Shakir Shayari
Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin, Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaon gi..
Parveen Shakir Poetry In Urdu Collection
Bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai
bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai tahniyat ai dil ki ab diwar dar hone ko hai khol den zanjir-e-dar aur hauz ko KHali karen zindagi ke bagh mein ab sah-pahar hone ko hai maut ki aahaT sunai de rahi hai dil mein kyun kya mohabbat se bahut KHali ye ghar hone ko hai gard-e-rah ban kar koi hasil safar ka ho gaya KHak mein mil kar koi lal-o-guhar hone ko hai ek chamak si to nazar aai hai apni KHak mein mujh pe bhi shayad tawajjoh ki nazar hone ko hai gum-shuda basti musafir lauT kar aate nahin moajaza aisa magar bar-e-digar hone ko hai raunaq-e-bazar-o-mahfil kam nahin hai aaj bhi saneha is shahr mein koi magar hone ko hai ghar ka sara rasta is sarKHushi mein kaT gaya is se agle moD koi ham-safar hone ko hai
Parveen Shakir Poetry SMS
Kon chahey ga tumhe meri tarah, Ab kisi se na mohabbat karna..
Parveen Shakir Poetry
Baadban khulne se pahle ka ishaara dekhna
baadban khulne se pahle ka ishaara dekhna main samundar dekhti hun tum kinara dekhna
yun bichhaDna bhi bahut aasan na tha us se magar jate jate us ka wo muD kar dobara dekhna
kis shabahat ko liye aaya hai darwaze pe chand ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna
kya qayamat hai ki jin ke nam par paspa hue un hi logon ko muqabil mein saf-ara dekhna
jab banam-e-dil gawahi sar ki mangi jaegi KHun mein Duba hua parcham hamara dekhna
jitne mein bhi jahan ji ka ziyan pahle se hai aisi bazi haarne mein kya KHasara dekhna
aaine ki aankh hi kuchh kam na thi mere liye jaane ab kya kya dikhaega tumhaara dekhna
ek musht-e-KHak aur wo bhi hawa ki zad mein hai zindagi ki bebasi ka istiara dekhna
Parveen Shakir Poetry In Urdu
Tera pehlu, tere dil ki tarah abaad rahe, Tujh pe guzrey na qayamat shab-e-tanhai ki..
Parveen Shakir Poetry In Urdu Collection
Barish hui to phulon ke tan chaak ho gae
barish hui to phulon ke tan chaak ho gae mausam ke hath bhig ke saffak ho gae
baadal ko kya KHabar hai ki barish ki chah mein kaise buland-o-baala shajar KHak ho gae
jugnu ko din ke waqt parakhne ki zid karen bachche hamare ahd ke chaalak ho gae
lahra rahi hai barf ki chadar haTa ke ghas suraj ki shah pe tinke bhi bebak ho gae
basti mein jitne aab-gazida the sab ke sab dariya ke ruKH badalte hi tairak ho gae
suraj-dimagh log bhi ablagh-e-fikr mein zulf-e-shab-e-firaq ke pechaak ho gae
jab bhi gharib-e-shahr se kuchh guftugu hui lahje hawa-e-sham ke namnak ho gae
Parveen Shakir Shayari
Bas tere rawai’yon ka sabab dhoondte rehna, Yeh silsila ab aur to chalne ka nahin..
Parveen Shakir Ghazal
Bahut roya wo hum ko yaad kar ke
bahut roya wo hum ko yaad kar ke hamari zindagi barbaad kar ke
palaT kar phir yahin aa jaenge hum wo dekhe to hamein aazad kar ke
rihai ki koi surat nahin hai magar han minnat-e-sayyaad kar ke
badan mera chhua tha us ne lekin gaya hai ruh ko aabaad kar ke
har aamir tul dena chahta hai muqarrar zulm ki miad kar ke
Parveen Shakir Ghazal In Urdu
Humain khabar hai, Hawaa ka mizaaj rakhte ho, Magar yeh kya, ke zara dair ko rukey bhi nahin..
Hello Poetry Lovers! My self Ahmad Khan Azmi. Formally I am a student of computer science Engineering. Like to compose short poetry. I started this blog to provide lots of poetry. you can find here all types of poetry, poems, shayaries. So connect with Poetry4ever.com. Thank you