[su_spoiler title=” ” open=”yes” style=”fancy” icon=”chevron” anchor=”” class=””]
subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi
kya KHabar aaj KHiraman sar-e-gulzar hai kaun
sham gulnar hui jati hai dekho to sahi
ye jo nikla hai liye mishal-e-ruKHsar hai kaun
raat mahki hui aai hai kahin se puchho
aaj bikhrae hue zulf-e-trah-dar hai kaun
phir dar-e-dil pe koi dene laga hai dastak
jaaniye phir dil-e-wahshi ka talabgar hai kaun
[/su_spoiler]
[su_spoiler title=” ” open=”yes” style=”fancy” icon=”chevron” anchor=”” class=””]
teri surat jo dil-nashin ki hai
aashna shakl har hasin ki hai
husn se dil laga ke hasti ki
har ghaDi hum ne aatishin ki hai
subh-e-gul ho ki sham-e-mai-KHana
madh us ru-e-naznin ki hai
shaiKH se be-hiras milte hain
hum ne tauba abhi nahin ki hai
zikr-e-dozaKH bayan-e-hur o qusur
baat goya yahin kahin ki hai
ashk to kuchh bhi rang la na sake
KHun se tar aaj aastin ki hai
kaise manen haram ke sahl-pasand
rasm jo aashiqon ke din ki hai
‘faiz’ auj-e-KHayal se hum ne
aasman sindh ki zamin ki hai
[/su_spoiler]
[su_spoiler title=” ” open=”yes” style=”fancy” icon=”chevron” anchor=”” class=””]
tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae
teri rah mein karte the sar talab sar-e-rahguzar chale gae
teri kaj-adai se haar ke shab-e-intizar chali gai
mere zabt-e-haal se ruTh kar mere gham-gusar chale gae
na sawal-e-wasl na arz-e-gham na hikayaten na shikayaten
tere ahd mein dil-e-zar ke sabhi iKHtiyar chale gae
ye hamin the jin ke libas par sar-e-rah siyahi likhi gai
yahi dagh the jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yar chale gae
na raha junun-e-ruKH-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahgar chale gae
[/su_spoiler]
[su_spoiler title=” ” open=”yes” style=”fancy” icon=”chevron” anchor=”” class=””]
teri umid tera intizar jab se hai
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai
kisi ka dard ho karte hain tere nam raqam
gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai
hua hai jab se dil-e-na-subur be-qabu
kalam tujh se nazar ko baDe adab se hai
agar sharar hai to bhaDke jo phul hai to khile
tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai
kahan gae shab-e-furqat ke jagne wale
sitara-e-sahari ham-kalam kab se hai
[/su_spoiler]
[su_spoiler title=” ” open=”yes” style=”fancy” icon=”chevron” anchor=”” class=””]
tujhe pukara hai be-irada
jo dil dukha hai bahut ziyaada
nadim ho tera harf-e-shirin
to rang par aae rang-e-baada
ata karo ek ada-e-dairin
to ashk se tar karen libaada
na jaane kis din se muntazir hai
dil-e-sar-e-rah-guzar fitada
ki ek din phir nazar mein aae
wo baam-e-raushan wo dar kushada
wo aae pursish ko phir sajae
qaba-e-rangin ada-e-sada
[/su_spoiler]
[su_spoiler title=” ” open=”yes” style=”fancy” icon=”chevron” anchor=”” class=””]
tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
talash mein hai sahar bar bar guzri hai
junun mein jitni bhi guzri ba-kar guzri hai
agarche dil pe KHarabi hazar guzri hai
hui hai hazrat-e-naseh se guftugu jis shab
wo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai
wo baat sare fasane mein jis ka zikr na tha
wo baat un ko bahut na-gawar guzri hai
na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
ajib rang mein ab ke bahaar guzri hai
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kya guzri
qafas se aaj saba be-qarar guzri hai
[/su_spoiler]
[su_spoiler title=” ” open=”yes” style=”fancy” icon=”chevron” anchor=”” class=””]
tumhaari yaad ke jab zaKHm bharne lagte hain
kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain
hadis-e-yar ke unwan nikharne lagte hain
to har harim mein gesu sanwarne lagte hain
har ajnabi hamein mahram dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain
saba se karte hain ghurbat-nasib zikr-e-watan
to chashm-e-subh mein aansu ubharne lagte hain
wo jab bhi karte hain is nutq o lab ki baKHiya-gari
faza mein aur bhi naghme bikharne lagte hain
dar-e-qafas pe andhere ki mohr lagti hai
to ‘faiz’ dil mein sitare utarne lagte hain
[/su_spoiler]
[su_divider top=”yes” text=”Go To Top” style=”dashed” divider_color=”blue” link_color=”black” size=”3″ margin=”15″ class=””]