[su_note]Aao barish se ye pochain
Kia es se bhi wada kar ke chor gya hai koi esko
Kia esko bhi neend nahi aati barson se
Kia esko bhi phoolon se shikwa hai koi
Es ke sath bhi khel hawaon ne khela hai
Dhuan dhuan sa eska chehra kun hai akhir?
Bheegi bheegi eski palkain kis ne kar dein?
Aao barish se ye pochain[/su_note]
———
[su_note]Usay barishon ne chura liya,
K woh badalon ka makeen tha,
Kabhi mur k ye bhi to dekhta,
K mera wajood zameen tha,
Wohi ik sach tha or uske baad,
Sari tohmatain jhoot hain,
Mere dil ko purana yaqeen hai,
Woh muhabbaton ka ameen tha,
Usay shoq tha kisi jazeeray pe,
Uske naam ka phool ho,
Mujhe pyar karna sikha gaya,
Mera dost kitna zaheen tha,
Kabhi sahilon pe phio gay to,
Tumhain seepiyan he bataengi,
Meri aankh main jo simat gaya,
Woh ashk kitna haseen tha[/su_note]
———
[su_note]AAJ KI IS BARISH MEIN’
Phir Wohi Sa Manzr Hy,
Phir Wohi c Boondein Hain,
Phir Wohi c Thandak Hy,
Phir Wohi Sa Sb Kuch Hy,
Per
AAJ KI IS BARISH MEIN”
SATH TUM NAHI HO TO”
Aankh Nm c Kitni Hy,
Saans Tang c Kitni Hy,
Rooh Pyasi Kitni Hy,
Ye Udasi Kitni Hy,
AAJ KI IS BARISH MEIN[/su_note]
———
[su_note]Jo meri ankhon se khawab dekho
To ek bhi shab na so sako ge
Ke Laakh chaho na hans sako ge
Hazar chaho na ro sako ge
Ke Khawab kia hain azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh
Rafaqaten un ki choot-ti hain
Mohabbaten un ki rooth-ti hain
Panapti hain un main wehshaten si
Aziyaten un main phoot-ti hain
Inhi ke sar se khizaan hain jazbay
Inhi se shaakhen se toot-ti hain
Ghamon ki bandish main khawab mere
Dukhon ki barish main khawab mere[/su_note]